Saturday, 20 May 2017

Karwa sach

Mai (Aap ka apna naam) bol rha hu . Mujhe lgta hai ki hum sab ko , apne aap ko badalna chahiye .

Toh sabse pahle baat karte hai ki hum kya sochte hai aur qa karte hai . Hum aur hamari purwaz aur anye wali generation wahi history ki books padhte aa rhe hai aur sayad padhte v rahenge ki Itihaas(History) mey ye hua,aise hua,kisne qa kiya,q kiya aur kab kiya . In sab purani bitye huye acche aur bure wakt(time) ko jabardasti q jaan rahe hai aur kab tak. Q ki aaj kal toh hame sabse yahi sikh ya gyaan milti hai ki jo beet gya so beet gya aur bitye huye wakt piche chhor dena chahiye. Toh q hum itihaas ko apne life ke har waqt ke saath jore rakhte hai . Itihaas mey kiye gai galtiyon​ se sikh kar aagye badhna chahiye naki usye dohrana chahiye.